Shikwa Jawab-E-Shikwa Lyrics | Coke Studio 11


Shikwa Jawab-E-Shikwa Lyrics
Shikwa Jawab-E-Shikwa Lyrics | Coke Studio 11

Shikwa Jawab-E-Shikwa Lyrics from Coke Studio 11 sung by Natasha Baig, Fareed Ayaz, Abu Muhammad Qawwal & Brothers. This song is composed by Zohaib Kazi, Ali Hamza with lyrics written by Allama Iqbal (Kyon ziaan kaar banun), Amjad Hyderabadi (Kis say mukhatib hai), Omar Khayyam (Baaz Aa, Baaz Aa).If you like this song or our website please do share with your friends and family. Please give your feedback as well to improve website quality, so we could serve you better quality. By the way enjoy Shikwa Jawab-E-Shikwa Lyrics.

Starring :: Natasha Baig, Fareed Ayaz, Abu Muhammad Qawwal & Brothers.
Director :: .
Song :: Shikwa Jawab-E-Shikwa Lyrics
Singer :: Natasha Baig, Fareed Ayaz, Abu Muhammad Qawwal & Brothers
Composer :: Zohaib Kazi, Ali Hamza
Lyricist:: Allama Iqbal (Kyon ziaan kaar banun), Amjad Hyderabadi (Kis say mukhatib hai), Omar Khayyam (Baaz Aa, Baaz Aa)

Shikwa Jawab-E-Shikwa Lyrics

Kyon ziaan kaar banun
Sood framosh rahoon?
{Kyon Ziaan kaar banun
Sood framosh rahoon?}
Fikr-e-farda na karun
Mahw-e-ghum-e-dosh rahoon
{Fikr-e-farda na karun
Mahw-e-ghum-e-dosh rahoon}

Kyon.. main ziaan kaar banun
Sood framosh rahoon?
Fikr-e-farda na karun
Mahw-e-ghum-e-dosh rahoon
Naale bulbul ke sunoon.. haaye!
Naale bulbul ke sunoon
Aur hama tan gosh rahoon
Hamnawa, main bhi koi gul hoon
ke khamosh rahoon

Jurrat aamoz!
Jurrat aamoz
meri taab-e-sukhan hai mujhko
{Jurrat aamoz
meri taab-e-sukhan hai mujhko}
Jurrat aamoz
meri taab-e-sukhan hai mujhko

Shikwa Allah se khakam badahan hai mujhko
Shikwa Allah se khakam badahan hai mujhko
Shikwa Allah se khakam badahan hai mujhko
Shikwa Allah se khakam badahan hai mujhko…

Hai baja, Hai baja, Hai baja, Hai baja…
Hai baja
Shewa-e-tasleem mein mashhoor hain hum
{Hai baja
Shewa-e-tasleem mein mashhoor hain hum}
Qissa-e-dard sunaate hain
ke majboor hain hum
{Qissa-e-dard sunaate hain
ke majboor hain hum}
Saaz-e-Khamoosh hain,
Faryaad se Ma’moor hain hum
{Saaz-e-Khamoosh hain,
Faryaad se Ma’moor hain hum}
Naala aata hai agar lab pe to
Ma’zuur hain hum

Ai Khuda shikwa-e
Ai Khuda shikwa-e-arbab-e-wafa bhi sun le
{Ai Khuda shikwa-e-arbab-e-wafa bhi sun le}
Ai Khuda shikwa-e-arbab-e-wafa bhi sun le

Khugar-e-hamd se thora sa gila bhi sun le
Khugar-e-hamd se thoda sa gila bhi sun le
Khugar-e-hamd se thoda sa gila bhi sun le
Khugar-e-hamd se thoda sa gila bhi sun le…

Hum se pahle tha ajab tere jahan ka manzar
Kahin masjood the patther
Kahin ma’bood shajar
Khugar-e-paikar mahsoos thi insan ki nazar
Maanta phir koi andekhe Khuda ko kyonkar?
Kyonkar? Kyonkar? Kyonkar? Kyonkar?

Khuda! Khuda!
Tujhko maalum hai leta tha koi naam tera
{Tujhko maalum hai leta tha koi naam tera}
Tujhko maaloom hai leta tha koi naam tera…

Quwwat-e-baazoo-e-muslim ne kiya kaam tera!
Quwwat-e-baazoo-e-muslim ne kiya kaam tera!
Quwwat-e-baazoo-e-muslim ne kiya kaam tera!
Quwwat-e-baazoo-e-muslim ne kiya kaam tera!…

Aa.. quwwat-e-Baazo-e
Baazoo-e-muslim ne kiya kaam tera!
Tau aee awaaz..
Kis say mukhatib hai kya keh raha hai?
Kis say mukhatib hai kya keh raha hai?
Kya teri khuwaish hai kya muda’a hai?
{Bol} kya teri khuwaish hai kya muda’a hai?
Sar ko patakh kar kyun rou raha hai?
{Sar ko patakh kar kyun rou raha hai?}
Hum nay toh denay ka wada kia hai
{Hum nay toh denay ka wada kia hai}
Hum nay toh denay ka wada kia hai
Arey aa aa idher aa
Tu pher maang, pher maang
Aa aa idher aa
Tu pher maang, pher maang

Tau aayi awaaz
Sunn!
Safa-e-dehr se batil ko mitaya kisne?
{Kya baat hai!}
Safa-e-dehr se batil ko mitaya kisne?
Aur, nou-e-insaan ko ghulami se churaya kisne?
Meray Ka’abay ko
Aur mere Ka’abay ko jabeenon se basaya kisne?
Mere Quran ko seenon se lagaya tumne
{haan haan}

Haan Haan
Thay toh aaba woh tumhare hi
{Thay toh aaba woh tumhare hi}
Thay toh aaba woh tumhare hi
Magar tum kya ho?
Thay toh aaba woh tumhare hi
Magar tum kya ho?
Thay? … Thay!
Thay toh aaba woh tumhare hi
Magar tum kya ho?
Hath par hath dhare muntazir-e-farda ho

Kis say mukhatib hai kya keh raha hai?
Kis say mukhatib hai kya keh raha hai?
Kya teri khuwaish hai kya muda’a hai?
Kya teri khuwaish hai kya muda’a hai?

Aur Sunn!
Paida…
Paida Sikandar ko kisne kia tha
Paida Sikandar ko kisne kia tha
Paida Sikandar ko kisne kia tha

Dekh!
Haatim ke hathon se kisne diya tha
{Haatim ke hathon se kisne diya tha}
{Arey} Tu kya samjh kar wapas chala tha
{Tu kya samjh kar wapas chala tha}
{Aur} Hum nay toh denay ka wada kia tha
{Hum nay toh denay ka wada kia tha}
{Aur} mayoos janay ko kisne kaha tha
{Mayoos janay ko kisne kaha tha}

Mayoos janay ko kisne kaha tha
Mayoos janay ko kisne kaha tha


Baaz Aa, Baaz Aa
Har Unch e Hasti Baaz Aa
Gar Kaafir o Kabr o But Parasti Baaz Aa
Een Dargah e Maa, Dargah e Na Umeedeeni
Sadd Baar Agar Tauba Shikasti Baaz Aa
{Aray} mayoos janay ko kisne kaha tha
{Mayoos janay ko kisne kaha tha}
Mayoos janay ko kisne kaha tha

Aa aa {Aaa, aaa, Aaa}
idher aa tu pher mang pher mang
Aa aa idher aa, Aaa
{Aray} mayoois janay ko kisne kaha tha

Le Sunn!
Aqal hai teri sipar
Aqal hai teri sipar ishq hai shamshir teri
Aqal hai teri sipar aur ishq hai shamshir teri
Mere durwaish
{Kya Baat Hai!}
Mere durwaish khilafat hai jahangir teri
Ma siwa Allah ke liye
Ma siwa Allah ke liye Aag hai takbir teri
Tu musalman ho toh
Tu musalman ho toh taqdir hai tadbir teri
Ma siwa Allah
Ma siwa Allah ke liye Aag hai takbir teri
Allah o Akbar!
Ma siwa Allah ke liye Aag hai takbir teri
Tu musalman ho toh taqdir hai tadbir teri

Aur Sunn!
Ki Muhammad se wafa
{Sal Allah o Alaih e Wasallam}
Ki Muhammad se wafa Tu ne
Toh hum tere hain
Ki Muhammad se wafa Tu ne
Toh hum tere hain
Ki Muhammad se wafa Tu ne
Toh hum tere hain
Yeh jahan cheez hai kya
Louh-o-qalum tere hain
Yeh jahan cheez hai kya
Louh-o-qalum tere hain
Ki Muhammad se wafa Tu ne
Toh hum tere hain
Ki Muhammad se wafa Tu ne
Toh hum tere hain
Yeh jahan cheez hai kya
Louh-o-qalum tere hain
Yeh jahan cheez hai kya
Louh-o-qalum tere hain
Yeh jahan cheez hai kya
Louh-o-qalum tere hain
Louh-o-qalum tere hain
Louh-o-qalum tere hain
Louh-o-qalum tere hain
Louh-o-qalum tere hain
Louh-o-qalum tere hain